kise jaanā kahāñ hai munhasir hotā hai is par bhī
bhaTaktā hai koī bāhar to koī ghar ke bhītar bhī
kisī ko aas bādal se koī dariyāoñ kā tālib
agar hai tishna-lab sahrā to pyāsā hai samundar bhī
shikasta ḳhvāb kī kircheñ paḌī haiñ aañkh meñ shāyad
nazar meñ chubhtā hai jab tab adhūrā sā vo manzar bhī
surāġh is se hī lag jaa.e mire hone na hone kā
guzar kar dekh hī letā huuñ apne meñ se ho kar bhī
jise parchhā.īñ samjhe the haqīqat meñ na paikar ho
parakhnā chāhiye thā aap ko us shai ko chhū kar bhī
palaT kar muddatoñ ba.ad apnī tahrīroñ se guzrūñ to
lage aksar ki ho saktā thā is se aur behtar bhī