Akhilesh Tiwari

nadi ka kya hai jidhar chahe us Dagar jae

Akhilesh Tiwari

Bina, Madhya Pradesh, India

1966
nadī kā kyā hai jidhar chāhe us Dagar jaa.e
magar ye pyaas mujhe chhoḌ de to mar jaa.e
kabhī to dil yahī uksā.e ḳhāmushī ke ḳhilāf
laboñ kā khulnā hī is ko kabhī akhar jaa.e
kabhī to chal paḌe manzil hī rāste kī tarah
kabhī ye raah bhī chal chal ke phir Thahar jaa.e
koī to baat hai pichhle pahar meñ rātoñ ke
ye band kamra ajab raushnī se bhar jaa.e
ye terā dhyān ki sahmā parinda ho koī
zarā sī saañs kī aahaT bhī ho to Dar jaa.e
bahut sambhāl ke darpan anā hai ye 'akhilesh'
zarā sī chuuk se aisā na ho bikhar jaa.e
Top Urdushayar.com