uḌā ke phir vahī gard-o-ġhubār pahle sā
bulā rahā hai safar bār-bār pahle sā
vo ek dhund thī āḳhir ko chhaT hī jaanā thī
dikhā.ī dene lagā ār-pār pahle sā
nadī ne raah samundar kī phir vahī pakḌī
sadā.eñ detā rahā regzār pahle sā
kahīñ Dhalān muqaddar na ho bulandī kā
chaḌhā.ī phir na ho apnā utaar pahle sā
savāl kyuuñ na charāġh-e-sahar se kar dekheñ
junūn ab bhī hai kyā barqarār pahle sā
to kyā palaT ke vahī din phir aane vaale haiñ
ka.ī dinoñ se hai dil be-qarār pahle sā