Nasreen Naqqash

humne honTon pe tabassum ko saja kar dekha

Nasreen Naqqash

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1963
ham ne hoñToñ pe tabassum ko sajā kar dekhā
ya.anī zaḳhmoñ ko phir ik baar harā kar dekhā
saarī duniyā meñ nazar aane lage tere nuqūsh
parda jab chashm-e-basīrat se uThā kar dekhā
duur phir bhī na huī qalb-o-nazar kī zulmat
ham ne ḳhuuñ apnā charāġhoñ meñ jalā kar dekhā
apnā chehra nazar aayā mujhe us chehre meñ
is ke chehre se jo chehre ko haTā kar dekhā
vo ta.alluq tirī ik zaat se jo thā mujh ko
us ta.alluq ko bahar-e-hāl nibhā kar dekhā
barf hī barf nazar aatī hai tā-hadd-e-nazar
zindagī ham ne tirī khoj meñ jā kar dekhā
jāvedāñ ho gayā har naġhma-e-pur-dard mirā
mere hoñToñ se zamāne ne churā kar dekhā
Top Urdushayar.com