kyā haqīqat hai kyā kahānī hai
muḳhtasar apnī zindagānī hai
TuuT kar bah rahī haiñ chaTTāneñ
aaj ġham meñ baḌī ravānī hai
kaash pardes se chale aao
aaj kī shab baḌī suhānī hai
aaj tak intizār hai us kā
ek laḌkī baḌī divānī hai
aaj pahchāntā nahīñ mujh ko
maiñ ne har baat jis kī maanī hai
tujh ko apnā banā ke chhoḌūñgī
ab yahī baat dil meñ Thānī hai
us ko paane kī aas meñ 'nasrīn'
ham ne sahrā kī ḳhaak chhānī hai