maiñ chanchal iThlātī nadiyā bhañvar se kab tak bachtī maiñ
lahr lahr meñ Duub ke ubhrī ubhar ubhar ke Duubī maiñ
maiñ koī patthar to nahīñ thī mujh ko chhūkar bhī dekhā
barf ko thoḌī aañch to miltī aap hī aap pighaltī maiñ
añg lagā kar bedardī ne aag sī bhar dī nas nas meñ
TuuT ga.e sab laaj ke ghuñghrū aisā jhuum ke nāchī maiñ
prem ke bandhan meñ bañdh kar sājan itnī duurī kyuuñ
tum bhī pyāse pyāse bādal pyāsī pyāsī dhartī maiñ
aane vaale dvaar pe pahroñ dastak de kar lauT ga.e
haath meñ le kar paḌhne baiThī jab pirītam kī chiTThī maiñ
sannāTe meñ jab jab chhankī bairī paḌosan kī paa.el
jaane vaale yaad meñ terī raat rāt-bhar jaagī maiñ
kyā andhā vishvās thā ai 'nasrīn' vo mujh ko manā legā
har bandhan se chhūT gayā vo haa.e kyuuñ us se rūThī maiñ