vo tanhā mere hī darpai nahīñ hai
kisī se ḳhush ho ye bhī tai nahīñ hai
yahāñ kī masnadeñ sab ke liye haiñ
ye merā ghar hai qasr-e-kai nahīñ hai
abhī ġhuncha abhī gul aur abhī tuḳhm
to kyuuñ kahiye ki hastī hai nahīñ hai
taġhayyur irtiqā dastūr-e-fitrat
na badle jo vo koī shai nahīñ hai
magas kī ḳhāk-e-pā nutfa enab kā
kashīd-e-gul magas kī qai nahīñ hai
vo kaisī shaḳhsiyat jis meñ na ho ruuh
vo kaisā shīsha jis meñ mai nahīñ hai
vo kyā jharnā na jis se raag phūTe
vo kaisā naġhma jis meñ lai nahīñ hai
vo phīkā vaaz jis meñ karb mādūm
vo jhūTā saaz jis meñ nai nahīñ hai
vo kaisī bazm jis meñ sab hoñ gūñge
vo jannat kyā jahāñ har shai nahīñ hai
vo kyā 'vāmiq' jo nichlā baiTh jaa.e
vo kaisā fāsla jo tai nahīñ hai