Ahmad Hamdani

munh andhere ghar se nikle phir the hangame bahut

Ahmad Hamdani

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2015
muñh añdhere ghar se nikle phir the hañgāme bahut
din Dhalā tanhā hue aur raat bhar pighle bahut
rañj ke andhe kueñ meñ raat ab kaise kaTe
dekhne ko din meñ dekhe chāñd se chehre bahut
phir bhī ham ik dūsre se bad-gumāñ kyā kyā rahe
jhuuT ham ne bhī na bolā tum bhī the sachche bahut
thā irāda un ke ghar se bach ke ham nikleñ magar
har qadam par un ke ghar ke rāste aa.e bahut
in dinoñ rahte haiñ logoñ se hameñ kyā kyā gile
aur lagte bhī haiñ ham ko log sab achchhe bahut
peḌ apne dasht meñ ab ham lagā kar kyā kareñ
dhuup ne phailā diye haiñ duur tak saa.e bahut
Top Urdushayar.com