Wamiq Jaunpuri

haalat se farar ki kya justuju karen

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
hālāt se farār kī kyā justujū kareñ
juz ye ki sheher-e-dār meñ jashn-e-subū kareñ
aao ilāj-e-talḳhi-e-kām-o-gulū kareñ
kuchh der shuġhl-e-jām rahe guftugū kareñ
apne karam se kyā vo hameñ surḳh-rū kareñ
ham aise bad-mizāj ki dil ko lahū kareñ
pahchān bhī na pā.eñge aap apnī shakl ko
TuuTā hai dil kā ā.īna kyā rū-ba-rū kareñ
kuchh faisla na ho sakā ab kī bahār meñ
dāman ko taar taar kareñ yā rafū kareñ
dast-e-junūñ to ban chukā mashshātā-e-chaman
pā-e-junūñ se dasht ko ab surḳh-rū kareñ
dar mai-kade kā band haram kā charāġh gul
ḳhūn-e-jigar piyeñ ki lahū se vazū kareñ
kyā din the dil kī bātoñ se miltā thā jab sukūñ
patthar se kis umiid pe ab guftugū kareñ
vo motiyoñ se karte haiñ muñh shā.iroñ kā band
aise meñ kyā ham apne ko be-ābrū kareñ
kis ko dimāġh-e-fikr kise fursat-e-suḳhan
phir kis liye zamāne ko apnā udū kareñ
'vāmiq' se iltifāt kā matlab yahī to hai
kuchh der sher-ver suneñ hā-o-hū kareñ
Top Urdushayar.com