Wamiq Jaunpuri

abhi to hausla-e-karobar baqi hai

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
abhī to hausla-e-kārobār baaqī hai
ye kam ki āmad-e-fasl-e-bahār baaqī hai
abhī to shahr ke khañDaroñ meñ jhāñknā hai mujhe
ye dekhnā bhī to hai koī yaar baaqī hai
abhī to kāñToñ bhare dasht kī karo bāteñ
abhī to jaib o garebāñ meñ taar baaqī hai
abhī to kāTnā hai teshoñ se chaTTānoñ ko
abhī to marhala-e-kohsār baaqī hai
abhī to jhelnā hai sañglāḳh chashmoñ ko
abhī to silsila-e-āb-shār baaqī hai
abhī to DhūñDnī haiñ raah meñ kamīñ-gāheñ
abhī to mārka-e-gīr-o-dār baaqī hai
abhī na sāya-e-dīvār kī talāsh karo
abhī to shiddat-e-nisfun-nahār baaqī hai
abhī to lenā hai ham ko hisāb-e-shahr-e-qitāl
abhī to ḳhūn-e-gulū kā shumār baaqī hai
abhī yahāñ to shafaq-gūñ koī ufuq hī nahīñ
abhī tasādum-e-lail-o-nahār baaqī hai
ye ham ko chhoḌ ke tanhā kahāñ chale 'vāmiq'
abhī to manzil-e-merāj-e-dār baaqī hai
Top Urdushayar.com