qirtās pe naqshe hameñ kyā kyā nazar aa.e
sab ḳhushk nazar aa.e jo dariyā nazar aa.e
kis ko shab-e-hijrāñ kī girānī kā ho ehsās
jab din chaḌhe bāzār meñ taarā nazar aa.e
patthar sā vo lagtā hai TaTolo na jo dil ko
aur haath meñ le lo to sarāpā nazar aa.e
sahrā kī sadā jis ko samajhte rahe kal tak
vo harf-e-junūñ ab chaman-ārā nazar aa.e
manzil kā ta.ayyun hī ḳhalā meñ nahīñ mumkin
ham ko to koī dasht na dariyā nazar aa.e
ai kaash mire gosh o nazar bhī raheñ sābit
jab husn sunā jaa.e yā naġhma nazar aa.e
ik halqa-e-ahbāb hai tanhā.ī bhī us kī
ik ham haiñ ki har bazm meñ tanhā nazar aa.e
ham ne jo tarāshe the sanam ahd-e-junūñ meñ
un meñ se har ik aaj shivāla nazar aa.e
is daur kī taḳhlīq bhī kyā shīshagarī hai
har ā.īne meñ aadmī ulTā nazar aa.e