Wamiq Jaunpuri

taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
taqsīr kyā hai hasrat-e-dīdār hī to hai
pādāsh us kī husn kā pindār hī to hai
kyā pūchhte ho merā fasāna nayā nahīñ
kyā dekhte ho ishq sar-e-dār hī to hai
band-e-qabā chaTaktā huā ġhuncha-e-gulāb
pahlū-e-yār nik.hat-e-gulzār hī to hai
ham-sā.egī meñ us kī hai kyā lutf in dinoñ
lekin ye lutf-e-sāya-e-dīvār hī to hai
ai bāġhbāñ ba-nām-e-bahārāñ na chheḌ use
gulzār meñ muhāfiz-e-gul ḳhaar hī to hai
sāz-e-hayāt ham-nafaso ḳhuub hai magar
kab TuuT jaa.e saañs kā ik taar hī to hai
maiñ tañg huuñ sukūn se ab iztirāb de
be-intihā sukūn bhī āzār hī to hai
ḳhud jis meñ kuchh na paayā na auroñ ko kuchh diyā
fil-asl aisī zindagī bekār hī to hai
Top Urdushayar.com