Wamiq Jaunpuri

barq sar-e-shaKH-sar dekhiye kab tak rahe

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
barq sar-e-shāḳh-sār dekhiye kab tak rahe
ham ko yaqīn-e-bahār dekhiye kab tak rahe
dāman-e-gulchīñ meñ phuul bulbul-e-shaidā malūl
rūh-e-chaman sogvār dekhiye kab tak rahe
kitne na.e qāfile manziloñ se jā mile
baḳht meñ apne ġhubār dekhiye kab tak rahe
dekhiye kab raah par Thiik se uTTheñ qadam
raat kī mai kā ḳhumār dekhiye kab tak rahe
mehnat-e-be-dām par nazm-e-kuhan barqarār
nazm-e-kuhan barqarār dekhiye kab tak rahe
ahl-e-junūñ ḳhuub haiñ vāqif-e-ā.īn-e-shauq
dil pe magar iḳhtiyār dekhiye kab tak rahe
dekhiye kab tak nazar bazm meñ bhaTkā kare
hasrat-e-dīdār-e-yār dekhiye kab tak rahe
raat bhī murjhā chalī chāñd bhī kumhlā gayā
phir bhī tirā intizār dekhiye kab tak rahe
kashmakash-e-nañg-o-nām dahr meñ jiinā harām
naam kī ye jiit haar dekhiye kab tak rahe
dekhiye kab tak zamīñ zarroñ kī dhamkī sahe
ziist ke ruḳh par ġhubār dekhiye kab tak rahe
barsar-e-'vāmiq' hazār gardish-e-lail-o-nahār
gardish-e-lail-o-nahār dekhiye kab tak rahe
Top Urdushayar.com