Wamiq Jaunpuri

dil azal se markaz-e-alam hai

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
dil azal se markaz-e-ālām hai
shīsha-e-āġhāz meñ anjām hai
chashm-e-sāqī kā ye saarā kaam hai
nashsha-e-mai muft meñ badnām hai
bāda-e-ahmar se ḳhālī jaam hai
dil to hai lekin barā-e-nām hai
vaj.h-e-taskīñ dil kī dhaḌkan ban ga.ī
ab havā chaltī hai kuchh ārām hai
marhabā ai kāsa-e-charḳh-e-kuhan
gardisheñ jab tak haiñ terā naam hai
terī qismat hī meñ zāhid mai nahīñ
shukr to majbūriyoñ kā naam hai
Top Urdushayar.com