Ahmad Hamdani

ab ye hoga shayad apni aag mein KHud jal jaenge

Ahmad Hamdani

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2015
ab ye hogā shāyad apnī aag meñ ḳhud jal jā.eñge
tum se duur bahut rah kar bhī kyā paayā kyā pā.eñge
dukh bhī sachche sukh bhī sachche phir bhī terī chāhat meñ
ham ne kitne dhoke khaa.e kitne dhoke khā.eñge
kal ke dukh bhī kaun se baaqī aaj ke dukh bhī kai din ke
jaise din pahle kaaTe the ye din bhī kaT jā.eñge
aql pe ham ko naaz bahut thā lekin ye kab sochā thā
ishq ke hāthoñ ye bhī hogā log hameñ samjhā.eñge
āñkhoñ se ojhal honā kyā dil se ojhal honā hai
tujh se chhuT kar bhī ahl-e-ġham kyā tujh se chhuT jā.eñge
ham se ābla-pā jab tanhā ghabrā.eñge sahrā meñ
rāste sab tere hī ghar kī jānib ko muḌ jā.eñge
Top Urdushayar.com