Wamiq Jaunpuri

diwane diwane Thahre khel gae angaron se

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
dīvāne dīvāne Thahre khel ga.e añgāroñ se
ābla-pā.ī ab koī pūchhe in zehnī bīmāroñ se
baat to jab hai shole nikleñ barbat-e-dil ke tāroñ se
shor nahīñ naġhme paidā hoñ teġhoñ kī jhankāroñ se
kis ne basāyā thā aur un ko kis ne yuuñ barbād kiyā
apne lahū kī bū aatī hai in ujḌe bāzāroñ se
kaise gale milte haiñ gale se ab ke bahārāñ bhuul ga.e
yāroñ ne bharpūr galoñ kā kaam kiyā talvāroñ se
keh do muġhannī se ab Thahre ḳhvāb-āvar naġhme roke roke
koī hameñ lalkār rahā hai parbat se mīnāroñ se
shaah kā ruḳh hai utrā utrā shah kyā detā hai shātir
haarī baazī jiit ga.e ham paidal se rāh-vāroñ se
vaqt ke tūfānī dhāroñ meñ kitne sāhil Duub ga.e
nit na.e sāhil phir ubhre haiñ in tūfānī dhāroñ se
pal meñ tola pal meñ māsha pal meñ sab darham barham
zarra-e-ḳhākī nazreñ milā.e baiThe haiñ sayyāroñ se
patthar kā dil paanī paanī zindāñ kī tārīḳhoñ par
aaj talak rah rah kar chīḳheñ uThtī haiñ dīvāroñ se
Top Urdushayar.com