hamāre mai-kade kā ab nizām badlegā
ham apnā saaqī badal deñge jaam badlegā
abhī to chand hī mai-kash haiñ baaqī sab tishna
vo vaqt aa.egā jab tishna-kām badlegā
ye ulTī ulTī havā.eñ haiñ vaj.h-e-sust-ravī
havā.eñ badleñgī tarz-e-ḳhirām badlegā
badaltī rahtī haiñ qadreñ rahīl-e-vaqt ke saath
zamāna badlegā har shai kā naam badlegā
ham apnī talḳh-navā.ī meñ rañg bhar deñge
hamāre saath hamārā kalām badlegā
ye arsh o farsh kī tafrīq kuchh nahīñ 'vāmiq'
buland o past kā meyār-e-ḳhām badlegā