dil pareshāñ hai na jaane kis liye
hashr-sāmāñ hai na jaane kis liye
pur-sukūñ gahrā.iyoñ meñ zabt kī
shor-e-tūfāñ hai na jaane kis liye
laakh ābād-e-tamannā ho ke dil
phir bhī vīrāñ hai na jaane kis liye
merī barbādī pe merā har nafas
zahr-ḳhandāñ hai na jaane kis liye
tishna-e-himmat jo thā zauq-e-fanā
aaj āsāñ hai na jaane kis liye
ḳhālī az illat nahīñ un kā karam
mujh pe ehsāñ hai na jaane kis liye
dekhiye girtī hai ye bijlī kahāñ
vo pashīmāñ hai na jaane kis liye
nau-e-insāñ fasl-e-āzādī meñ bhī
pā-ba-jaulāñ hai na jaane kis liye