Wamiq Jaunpuri

raat ke samundar mein gham ki naw chalti hai

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
raat ke samundar meñ ġham kī naav chaltī hai
din ke garm sāhil par zinda laash jaltī hai
ik khilaunā hai giitī toḌ toḌ ke jis ko
bachchoñ kī tarah duniyā rotī hai machaltī hai
fikr o fan kī shahzādī kis balā kī hai nāgin
shab meñ ḳhuun piitī hai din meñ zahr ugaltī hai
zindagī kī haisiyyat buuñd jaise paanī kī
nāchtī hai sholoñ par chashm-e-nam meñ jaltī hai
bhūke peT kī Daa.in sotī hī nahīñ ik pal
din meñ dhuup khātī hai shab meñ pī ke chaltī hai
pattiyoñ kī taalī par jaag uThe chaman vaale
aur pattī pattī ab baiThī haath maltī hai
ghup añdherī rāhoñ par mash.al-e-husām-e-zar
hai lahū meñ aisī tar bujhtī hai na jaltī hai
inqilāb-e-daurāñ se kuchh to kahtī hī hogī
tez rail-gāḌī jab paTriyāñ badaltī hai
tishnagī kī tafsīreñ misl-e-sham.a haiñ 'vāmiq'
jo zabān khultī hai us se lau nikaltī hai
Top Urdushayar.com