ye vafā.eñ saarī dhoke phir ye dhoke bhī kahāñ
chand din kī baat hai phir log ham se bhī kahāñ
tum ko aanā thā na aa.e vaqt lekin kaT gayā
muzmahil hote ho kyuuñ ham raat ro.e bhī kahāñ
peḌ ye sūkhe hue kuchh ye zamīñ taptī huī
chalte chalte aaj Thahre ham to Thahre bhī kahāñ
aaj to vo der tak baiThe rahe ḳhāmosh se
rafta rafta bin-kahe hālāt pahuñche bhī kahāñ
chand yādeñ chand aañsū chand shikve aur umr
ishq to kiyā thā magar ab ye salīqe bhī kahāñ
dil lahū hotā hai yaaro baat ye āsāñ nahīñ
lahza lahza rote guzrī aur ro.e bhī kahāñ