Wamiq Jaunpuri

dil toD kar wo dil mein pashiman hua to kya

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
dil toḌ kar vo dil meñ pashīmāñ huā to kyā
ik be-niyāz-e-nāz pe ehsāñ huā to kyā
apnā ilāj-e-tañgi-e-dil vo na kar sake
merā ilāj-e-tañgi-e-dāmāñ huā to kyā
jab bāl-o-par hī nazr-e-qafas ho ke rah ga.e
sehn-e-chaman meñ shor-e-bahārāñ huā to kyā
ik umr rakh ke ruuh mirī tishna-e-nashāt
ab naġhma-e-hayāt par-afshāñ huā to kyā
jab mere vāste dar-e-mai-ḳhāna band hai
sahbā meñ ġharq ālam-e-imkāñ huā to kyā
TuuTe paḌe haiñ sāz-e-mohabbat ke taar taar
ab shāhid-e-ḳhayāl ġhazal-ḳhvāñ huā to kyā
aadam ne ek ḳhosha-e-gandum ko kyā kiyā
mujrim kabhī jo bhuuk se insāñ huā to kyā
'vāmiq' kī tīra-baḳhtī kā aalam vahī rahā
zulmat-kade meñ chashma-e-haivāñ huā to kyā
Top Urdushayar.com