Wamiq Jaunpuri

fankar ke kaam aai na kuchh dida-wari bhi

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
fankār ke kaam aa.ī na kuchh dīda-varī bhī
karnā paḌī shahzādoñ ko daryoza-garī bhī
ik silsila-e-dār-o-rasan phailā huā hai
minjumala ḳhatāoñ ke hai sāhab-nazarī bhī
jin hāthoñ ne phāḌe na kabhī jeb o garebāñ
un hāthoñ se ho saktī nahīñ baḳhiya-garī bhī
un se to bahr taur har ik rāhzan achchhā
jo rāhzanī karte haiñ aur rāhbarī bhī
jab ilm ho sūrat-gar-e-mashshāta-e-dozaḳh
firdaus hai aadam ke liye be-ḳhabarī bhī
jab sar se guzar jaatā hai talvār kā paanī
sar thaam ke rah jaatī hai bedād-garī bhī
'vāmiq' tujhe yāroñ se jo begāna banā de
ik sāġhar-e-be-kaif hai vo nāmvarī bhī
Top Urdushayar.com