is tarah se kashtī bhī koī paar lage hai
kāġhaz kā banā haath meñ patvār lage hai
āzād lage hai na giraftār lage hai
dīvāne ko dar āhanī dīvār lage hai
ik laash hai lekin baḌī jāñ-dār lage hai
shola sī koī chiiz sar-e-dār lage hai
pahchān lo us ko vahī qātil hai hamārā
jis haath meñ TuuTī huī talvār lage hai
ḳhāmosh girāñ-bār fazāoñ meñ ghuTan sī
ye to kisī tūfān kī lalkār lage hai
ik vaqt vo thā jab rasan-o-dār meñ thā lutf
ab lutf bhī un kā rasan-o-dār lage hai
din chaḌhne lagā tezī se ghaTne lage saa.e
raahī koī ham ko pas-e-dīvār lage hai
ik dā.era-e-fikr meñ mahdūd hai aalam
har pā-e-nazar sūrat-e-parkār lage hai
sunñe meñ to ġhazleñ bahut achchhī lagīñ 'vāmiq'
qirtās pe ik aisī jo shahkār lage hai