jo dasht ḳhvāboñ meñ aksar dikhā.ī detā hai
vo jāgne pe mirā ghar dikhā.ī detā hai
hamārī ḳhāma-tarāzī se bach ke rahiye huzūr
ki dast-e-mast meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai
jo duur se use dekho to chāñd jaisā lage
qarīb jaao to patthar dikhā.ī detā hai
sanam tarāsh gursana hai in dinoñ shāyad
ki har mujassama lāġhar dikhā.ī detā hai
na jis kī shakl hai us kī na jis kī umr us kī
vo mujh ko shīshe meñ aksar dikhā.ī detā hai
hai us kā maujib-e-tāmīr koī jurm zarūr
jo sab se ūñchā nayā ghar dikhā.ī detā hai
rah-e-farār ḳhalāoñ meñ bhī nahīñ miltī
bas ek gumbad-e-be-dar dikhā.ī detā hai
hai jis kī Thokaroñ meñ āb-e-zindagī 'vāmiq'
vo tishnagī kā samundar dikhā.ī detā hai