zabāñ tak jo na aa.e vo mohabbat aur hotī hai
fasāna aur hotā hai haqīqat aur hotī hai
nahīñ milte to ik adnā shikāyat hai na milne kī
magar mil kar na milne kī shikāyat aur hotī hai
ye maanā shīsha-e-dil raunaq-e-bāzār-e-ulfat hai
magar jab TuuT jaatā hai to qīmat aur hotī hai
nigāheñ taaḌ letī haiñ mohabbat kī adāoñ ko
chhupāne se zamāne bhar kī shohrat aur hotī hai
ye maanā husn kī fitrat bahut nāzuk hai ai 'vāmiq'
mizāj-e-ishq kī lekin nazākat aur hotī hai