kahīñ saaqī kā faiz-e-ām bhī hai
kisī shīshe pe merā naam bhī hai
vo chashm-e-mast mai bhī jaam bhī hai
phire to gardish-e-ayyām bhī hai
navā-e-chañg o barbat sunñe vaalo
pas-e-parda baḌā kohrām bhī hai
mirī fard-e-junūñ pe ai bahāro
gavāhoñ meñ ḳhizāñ kā naam bhī hai
na pūchho bebasī us tishna-lab kī
ki jis kī dastaras meñ jaam bhī hai
mohabbat kī sazā tark-e-mohabbat
mohabbat kā yahī in.aam bhī hai
nigāh-e-shauq hai gustāḳh lekin
nigāh-e-shauq kuchh badnām bhī hai
nigāhoñ kā tasādum kis ne dekhā
magar ye raaz tasht az baam bhī hai