tujh se mil kar dil meñ rah jaatī hai armānoñ kī baat
yaad rahtī hai kisī sāhil pe tūfānoñ kī baat
vo to kahiye aaj bhī zanjīr meñ jhankār hai
varna kis ko yaad rah jaatī hai dīvānoñ kī baat
kyā na thī tum ko ḳhabar ai kaj-kalāhān-e-bahār
bū-e-gul ke saath hī phailegī zindānoñ kī baat
ḳhair ho mere junūñ kī khil ga.e sad.hā gulāb
varna koī pūchhtā hī kyā bayābānoñ kī baat
kyā kabhī hotī kisī kī tū magar ai zindagī
zahr pī kar ham ne rakh lī tere dīvānoñ kī baat
rishta-e-yād-e-butāñ TuuTā na tark-e-ishq se
hai haram meñ ab bhī zer-e-lab sanam-ḳhānoñ kī baat
ham-nashīñ us ke lab o ruḳhsār hoñ yā sair-e-gul
tazkira koī bhī ho niklegī mai-ḳhānoñ kī baat
bazm-e-anjum ho ki bazm-e-ḳhāk yā bazm-e-ḳhayāl
jis jagah jaao sunā.ī degī insānoñ kī baat
ibn-e-ādam ḳhosha-e-gandum pe hai mā.il-ba-jañg
ye na hai masjid kā qissa aur na but-ḳhānoñ kī baat
phuul se bhī narm-tar 'vāmiq' kabhī apnā kalām
aur kabhī talvār ham āshufta-sāmānoñ kī baat