azal abad se bahut duur jhūmte the ham
kisī ke dhyān meñ kuchh din ko jā base the ham
vo ġham ho yā ho ḳhushī kaif kam na hotā thā
ajiib raah se ho kar guzar rahe the ham
bahut aziiz the ham ko hamāre dost magar
ik ajnabī ke liye sab se chhuT ga.e the ham
karam se aap ke sarshār thā ye dil lekin
ḳhushī kī aañch meñ kyā kyā pighal rahe the ham
tumheñ to yaad kahāñ hoñge ab magar vo din
na dekh kar tumheñ har lamha dekhte the ham
vo ek kaif kā aalam vo ārzū-mandī
na jaane kaun sī duniyā meñ jī rahe the ham