mire fikr o fan ko na.ī fazā na.e bāl-o-par kī talāsh hai
jo qafas ko yaas ke phūñk de mujhe us sharar kī talāsh hai
hai ajiib ālam-e-sarḳhushī na shakeb hai na shikastagī
kabhī manziloñ se guzar ga.e kabhī rahguzar kī talāsh hai
mujhe us junūñ kī hai justujū jo chaman ko baḳhsh de rañg o bū
jo naved-e-fasl-e-bahār ho mujhe us nazar kī talāsh hai
mujhe us sahar kī ho kyā ḳhushī jo ho zulmatoñ meñ ghirī huī
mirī shām-e-ġham ko jo luuT le mujhe us sahar kī talāsh hai
yuuñ to kahne ke liye chārāgar mujhe be-shumār mile magar
jo mizāj-e-ġham ko samajh sake usī chārāgar kī talāsh hai
mire nāsehā mire nukta-chīñ tujhe mere dil kī ḳhabar nahīñ
maiñ harīf-e-maslak-e-bandagī tujhe sañg-e-dar kī talāsh hai
mujhe ishq husn o hayāt se mujhe rabt fikr o nashāt se
mirā sher naġhma-e-zindagī tujhe nauhagar kī talāsh hai
use zid ki 'vāmiq'-e-shikva-gar kisī raaz se na ho bā-ḳhabar
mujhe naaz hai ki ye dīda-var mirī umr bhar kī talāsh hai