Wamiq Jaunpuri

huzur-e-yar bhi aazurdagi nahin jati

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
huzūr-e-yār bhī āzurdagī nahīñ jaatī
ki ham se itnī bhī duurī sahī nahīñ jaatī
ḳhud apne sar ye balā kaun mol letā hai
mohabbat aap se hotī hai kī nahīñ jaatī
lahū jalātī hai ḳhāmoshiyoñ meñ paltī hai
hikāyat-e-dil-e-sozāñ kahī nahīñ jaatī
ham is ko kyā kareñ tum ko hai nā-pasand magar
zabān-e-hāl se barjastagī nahīñ jaatī
milā de ḳhaak meñ ham ko hazār gardish-e-charḳh
magar bagūloñ se āvārgī nahīñ jaatī
chaman vo ho ki bayābāñ bahār ho ki ḳhizāñ
junūñ kī fitrat-e-jāma-varī nahīñ jaatī
agar ġhubār ho dil meñ agar ho tañg-nazar
to mehr o maah se bhī tīrgī nahīñ jaatī
mahaktī rahtī hai ġhurbat meñ bhī sharāfat-e-nafs
gul-e-fasurda se ḳhushbū kabhī nahīñ jaatī
charāġh din meñ dhuāñ hī dhuāñ sā lagtā hai
sharāb raat kī shai din ko pī nahīñ jaatī
agar yaqīn nahīñ hai najābat-e-mai par
to laakh piite raho tishnagī nahīñ jaatī
shu.ūr-e-husn muzmir hijāb meñ 'vāmiq'
barhana chehroñ se be-chehragī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com