Ahmad Hamdani

dilon ko ranj ye kaisa hai ye KHushi kya hai

Ahmad Hamdani

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2015
diloñ ko rañj ye kaisā hai ye ḳhushī kyā hai
ye zulmatoñ se ujāloñ kī hamdamī kyā hai
havā.eñ shahar se rotī huī guzartī haiñ
diloñ meñ ḳhauf kī ye ek lahr sī kyā hai
udāsiyoñ kī ye parchhā.iyāñ sī duur talak
mah-o-nujūm kī āñkhoñ meñ ye namī kyā hai
ye khilkhilāte dar-o-bām meñ ghuTan kaisī
ye jagmagāte makānoñ meñ tīrgī kyā hai
bhare jahān meñ ban-bās kī ye kaifiyyat
har ek samt na jaane ye guuñj sī kyā hai
tire ḳhayāl meñ kaTtī hai umr phir bhī ham
ye sochte haiñ ki apnī bhī zindagī kyā hai
tamāzatoñ meñ bas ik ḳhushk peḌ kī chhāñv
hai jis pe naaz bahut vo bhī āgahī kyā hai
ye ashk ashk se ḳhvāboñ meñ raunaqeñ kaisī
ye daaġh daaġh tamannā meñ tāzgī kyā hai
mile haiñ dukh to hameñ roz hī tire dar se
magar ye aaj dukhoñ meñ na.ī ḳhushī kyā hai
Top Urdushayar.com