yaad kyā kyā log dasht-e-be-karāñ meñ aa.e the
rañg lekin kab ye chashm-e-ḳhūñ-fishāñ meñ aa.e the
kis tamannā se tumheñ dekhā thā kis chāhat se ham
raqs karte halqa-e-vāraftagāñ meñ aa.e the
sūrateñ kyā kyā dil-e-ā.īna-gar meñ bas ga.iiñ
ham se be-sūrat bhī to bazm-e-jahāñ meñ aa.e the
sādgī se ham ne samjhā thā hamārā zikr hai
tazkire kuchh aur hī un ke bayāñ meñ aa.e the
har na.ī mushkil pe ham sochā kiye haiñ der tak
log pahle bhī to kuchh shahr-e-butāñ meñ aa.e the
ye gul-e-tar kī sī ḳhushbū kis taraf se aa ga.ī
ham bagūle the bhalā kab gulistāñ meñ aa.e the
kyuuñ hamāre saañs bhī hote haiñ logoñ par girāñ
ham bhī to ik umr le kar is jahāñ meñ aa.e the