Tanweer Gauhar

raste mein aa rahe hain jo nadi nale na dekh

Tanweer Gauhar

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1982
rāste meñ aa rahe haiñ jo nadī naale na dekh
manziloñ kī chaah hai to paañv ke chhāle na dekh
rāh-e-haq par gāmzan rah aur haq kī baat kar
kyā sitam Dhā.eñge tujh par ye sitam vaale na dekh
himmat-e-mardāñ agar qaa.em hai to phir fikr kyā
zulm ke sar ko kuchal de haq ke matvāle na dekh
mere bhaa.ī aadmī kī ādamiyat ko parakh
muflis-o-nādār yā phir māl-o-zar vaale na dekh
husn-e-bātin husn-e-zāhir se baḌī shai hai na bhuul
rañg haiñ donoñ ḳhudā ke gore aur kaale na dekh
ye hai tārīḳhī imārat is kī azmat ko salām
gard ālūda imārat meñ lage jaale na dekh
khul jā sim-sim khul jā sim-sim kab talak chillā.egā
tū alī-bābā nahīñ hai toḌ de taale na dekh
Top Urdushayar.com