diloñ meñ buġhz ke ḳhāne na hote
to apne log begāne na hote
vafā ko DhūñDtī phirtī ye duniyā
agar ham jaise dīvāne na hote
na ham ko ġham agar aatā mayassar
to lutf-e-zindagī jaane na hote
kahāñ thā ham se rindoñ kā Thikāna
agar bastī meñ mai-ḳhāne na hote
na luTte ham agar yaaro luTere
hamāre jāne-pahchāne na hote
kahāñ ham bojh dil kā karte halkā
jo rone ko tire shāne na hote
zabān-e-hāl par achchhā thā 'gauhar'
agar maazī ke afsāne na hote