Tanweer Gauhar

chaDhta suraj uDta baadal bahta dariya kuchh bhi nahin

Tanweer Gauhar

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1982
chaḌhtā sūraj uḌtā bādal bahtā dariyā kuchh bhī nahīñ
saarā tamāshā mere liye hai lekin merā kuchh bhī nahīñ
un kī nannhī uñglī to ab computer se khele hai
aaj ke bachchoñ kī nazroñ meñ chandā-māmā kuchh bhī nahīñ
mere pyāse hoñToñ hī se bas dariyā kī qīmat hai
tishna-labī kā muul hai saarā varna dariyā kuchh bhī nahīñ
us ne ham ko haldī kyā dī ham pansārī ban baiThe
lene vaale mālik Thahre dene vaalā kuchh bhī nahīñ
terā merā karte karte umr guzārī jaatī hai
sach to ye hai terā merā merā terā kuchh bhī nahīñ
ham nazroñ nazroñ meñ apne dil kā saudā kar baiThe
sochā-samjhā kuchh bhī nahīñ aur dekhā-bhālā kuchh bhī nahīñ
in rishtoñ kī bhiiḌ meñ akasr mujh ko aisā lagtā hai
saarī duniyā apnī sagī hai lekin apnā kuchh bhī nahīñ
laakh kareñ ham sajda zamīñ par laakh jabīñ ko ghis Dāleñ
saaf na ho gar niyyat 'gauhar' to phir sajda kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com