bātil-o-nā-haq se ummīd-e-karam karte rahe
jo na karnā thā hameñ vo kaam ham karte rahe
zabt kar sakte the āḳhir zabt ham karte rahe
kaam thā jin kā sitam karnā sitam karte rahe
zindagī-bhar muskurā.e be-sabab ham dosto
zindagī-bhar ziist kī talḳhī ko kam karte rahe
ai qazā tū der se aa.ī magar ḳhush-āmdīd
umr-bhar ham yaad tujh ko dam-ba-dam karte rahe
umr-bhar ham ne kiyā hai dūsroñ kā ehtirām
ya.anī ḳhud ko umr-bhar ham mohtaram karte rahe
umr paḌhne likhne kī ġhaflat meñ guzrī aur phir
zindagī-bhar haath armān-e-qalam karte rahe
kyā namāzeñ haiñ hamārī kyā hamārī bandagī
khoT niyyat meñ rahā aur sar ko ḳham karte rahe