dariyā meñ tuġhyānī hai
bastī bastī paanī hai
aah ki jañgal haiñ ābād
shahroñ meñ vīrānī hai
mushkil se ab kyā Darnā
is meñ hī āsānī hai
duniyā kī kyā chaah kareñ
duniyā ānī-jānī hai
us ko to pachhtānā hai
jis ne dil kī maanī hai
maiñ bhī man kā raajā huuñ
vo bhī dil kī raanī hai
ai dil us ko bhuul bhī jā
ye kaisī man-mānī hai
maut se 'gauhar' Darnā kyā
maut to ik din aanī hai