junūñ-pasand harīf-e-ḳhirad to ham bhī haiñ
adū jo nek nahīñ hai to bad to ham bhī haiñ
hazār sifr sahī ik adad to ham bhī haiñ
tumhāre saath azal-tā-abad to ham bhī haiñ
ab itnā naaz samundar-mizājiyoñ pe na kar
ki apne aap meñ ik jazr-o-mad to ham bhī haiñ
hameñ qubūl kahāñ kam-savād karte haiñ
ḳharāb-e-mashġhala-e-radd-o-kad to ham bhī haiñ
ham apne aap se āgāh is qadar to na the
chalo nishāna-e-rashk-o-hasad to ham bhī haiñ