koī bhī zor ḳharīdār par nahīñ chaltā
ki kārobār to aḳhbār par nahīñ chaltā
ham aap apnā garebān chaak karte haiñ
hamārā bas hī to sarkār par nahīñ chaltā
kuchh aur chāhiye taskīn-e-jism-o-jāñ ke liye
hamārā kaam to dīdār par nahīñ chaltā
maiñ jāntā huuñ mujhe kis kā saath denā hai
maiñ billī ban ke to dīvār par nahīñ chaltā
usuul jitne haiñ laagū hamīñ pe hote haiñ
aur ek yār-e-tarah-dār par nahīñ chaltā
unheñ lihāz nahīñ hai jo merī marzī kā
to maiñ bhī marzi-e-aġhyār par nahīñ chaltā
na jaane kab tumheñ auqāt apnī dikhlā de
ab itnā zulm bhī nādār par nahīñ chaltā
mire suḳhan kā bahāna haiñ qāfiya o radīf
maiñ sher kahtā huuñ kuchh taar par nahīñ chaltā
ra.uuf 'ḳhair' pahuñchtā vahīñ hai hir-phir kar
ki iḳhtiyār dil-e-zār par nahīñ chaltā