agar anaar meñ vo raushnī nahīñ bhartā
to ḳhāksār dam-e-āgahī nahīñ bhartā
ye bhuuk pyaas bahar-hāl miT hī jaatī hai
magar hai chiiz to aisī ki jī nahīñ bhartā
tū apne aap meñ maanā ki ek dariyā hai
mirā vajūd bhī kuuza sahī nahīñ bhartā
ye len-den kī apnī hadeñ bhī hotī haiñ
ki peT bhartā hai jholī koī nahīñ bhartā
hamārā koī bhī nemul-badal nahīñ hogā
hamārī ḳhālī jagah koī bhī nahīñ bhartā
muaaf karnā ye ḳhāka kahāñ ubhartā hai
agar ye dast-e-hunar rañg hī nahīñ bhartā
kahāñ ye 'ḳhair' kahāñ haar jiit kā ḳhadsha
ki jism o jaan kī baazī se jī nahīñ bhartā