shartoñ pe apnī khelne vaale to haiñ vahī
mohre safed ghar meñ bhī kaale to haiñ vahī
shāḳhoñ pe saañp haiñ to shikārī haiñ taak meñ
sahme parinde un ke nivāle to haiñ vahī
pahchānñe meñ ham ko takalluf huā unheñ
hālāñki apne jānñe vaale to haiñ vahī
vāris badal ga.e ki vasīyat badal ga.ī
lekin gavāh aur qabāle to haiñ vahī
ab un pe uñgliyoñ ke nishānāt aur haiñ
har-chand apne qatl ke aale to haiñ vahī
khilvāḌ kar rahe the jo ham se vo khul ga.e
ye aur baat hiile havāle to haiñ vahī
saarī hayāt jin kī andhere meñ kaT ga.ī
andher hai ki 'ḳhair' jiyāle to haiñ vahī