Rauf Khair

aaankhon pa abhi tohmat-e-binai kahan hai

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
ā.ankhoñ pa abhī tohmat-e-bīnā.ī kahāñ hai
tū ḳhud hī tamāsha hai tamāshā.ī kahāñ hai
ā.īna huī tishnagī pāyābī-e-jāñ se
chehre pa to likkhī hui rusvā.ī kahāñ hai
in jāgtī ā.ankhoñ ko mile dhuup ke bāzār
ai dil vo pighaltī hui tanhā.ī kahāñ hai
suraj hai ki bas nok pe suuī kī khaḌā hai
ab fursat-e-kam-kam bhī mire bhaa.ī kahāñ hai
ḳhuuñ chūste lamhoñ se kaho haath pasāreñ
ehsās kī sūrat abhī zardā.ī kahāñ hai
kuchh aur bikhar kar kahīñ pahchān na kho luuñ
is shahr ko miTī mirī raas aa.ī kahāñ hai
vo shaḳhs baḌe chaav se kuchh pūchh rahā hai
tū aise meñ ai lazzat-e-goyā.ī kahāñ hai
ḳhair apnoñ meñ ik ham hī nakul aa.e haiñ shā.er
shahzādgī-e-shauq ye ābā.ī kahāñ hai
Top Urdushayar.com