Ahmad Hamdani

dil tujhe pa ke bhi tanha hota

Ahmad Hamdani

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2015
dil tujhe pā ke bhī tanhā hotā
duur tak hijr kā saayā hotā
aur to apne liye kyā hotā
apnā dukh hī koī apnā hotā
aap aate ki na aate dil meñ
jaltā-bujhtā koī sho.ala hotā
aarzū phir na.ī karte ta.abīr
phir nayā koī tamāshā hotā
phir vahī ek ḳhalish sī hotī
phir kisī ne hameñ dekhā hotā
zaḳhm phir koī mahaktā dil meñ
sāmne phir koī chehra hotā
phir gale vahshateñ miltīñ ham se
phir vahī ham vahī sahrā hotā
the ḳhafā tum to hamārā dam-sāz
āfat-e-jāñ koī tum sā hotā
tujh ko nafrat hai to apnā dil bhī
rafta rafta tujhe bhūlā hotā
thak ke soyā hai jo ab raat ga.e
shaam hote use dekhā hotā
Top Urdushayar.com