Rauf Khair

ta-ba-kai manzil-ba-manzil hum musafir bhagte

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
tā-ba-kai manzil-ba-manzil ham musāfir bhāgte
aañkh ab Thahrī huī hai aur manāzir bhāgte
ai harīf-e-har-qadam shah-māt se bachne kī soch
is bisāt-e-ḳhāk se kyā ham se shātir bhāgte
ham to aa.e haiñ yahāñ miTne miTāne ke liye
is zamīn-e-karbalā se kis kī ḳhātir bhāgte
bas meñ aa jaane kā jazba bas meñ karne kī havas
ḳhāk-o-bād-o-āb-o-ātish bhī haiñ qāsir bhāgte
sar kahīñ paañv kahīñ āñkheñ kahīñ chehra kahīñ
is havas meñ kho ga.ī pahchān āḳhir bhāgte
'ḳhair' shab-ḳhūñ maar kar chhup jaane vaale ham nahīñ
ma.arka sar karne nikle haiñ to kyā phir bhāgte
khod lete haiñ kuaañ shahdāb pā lete haiñ 'ḳhair'
is zamīn-e-saḳht se kyā ham se shā.ir bhāgte
Top Urdushayar.com