Rauf Khair

patte tamam halqa-e-sarsar mein rah gae

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
patte tamām halqa-e-sarsar meñ rah ga.e
ham shāḳh-e-sabz meñ shajar-e-tar meñ rah ga.e
likh lenā is qadar vo safīne nahīñ mire
sāhil pe rah ga.e jo samundar meñ rah ga.e
us lazzat-e-safar ko maiñ ab un se kyā kahūñ
jo sāya-hā-e-sarv-o-sanobar meñ rah ga.e
āsār-e-yak-ḳharāba-e-ābād ho ke ham
sīnoñ meñ rah na paa.e to patthar meñ rah ga.e
bāhar hī chhoḌ aa.e vo chehra jo ḳhaas thā
ik aam aadmī kī tarah ghar meñ rah ga.e
rusvā unheñ badan ke taqāzoñ ne kar diyā
kyā log the jo TuuT ke pal bhar meñ rah ga.e
tum to anā kā ek jazīra ho soch lo
aise ka.ī jazīre samundar meñ rah ga.e
Top Urdushayar.com