giraftārī ke sab harbe shikārī le ke niklā hai
parinda bhī shikārī kī supārī le ke niklā hai
nikalne vaalā ye kaisī savārī le ke niklā hai
madārī jaise sāñpoñ kī piTārī le ke niklā hai
bahar-qīmat vafādārī hī saarī le ke niklā hai
hathelī par agar vo jaan pyārī le ke niklā hai
safari suiT meñ TaTa safari le ke niklā hai
vo lekin zehn o dil par bojh bhārī le ke niklā hai
yaqīnan hijratoñ kī jānkārī le ke niklā hai
agar apne hī ghar se be-qarārī le ke niklā hai
khilaune kī taḌap meñ ḳhud khilaunā vo na ban jaa.e
mirā bachcha saḌak par rezgārī le ke niklā hai
agar duniyā bhī mil jaa.e rahegā haath phailā.e
ajab kashkol duniyā kā bhikārī le ke niklā hai
ḳhatā-kārī mirī ummīd-vār-e-dāman-e-rahmat
magar muftī to qur.ān o buḳhārī le ke niklā hai
jhalaktā hai mizāj-e-shahryārī har bun-e-mū se
ba-zāhir 'ḳhair' harf-e-ḳhāksārī le ke niklā hai