Rauf Khair

na-KHush gadai se na wo shahi se KHush hue

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
nā-ḳhush gadā.ī se na vo shāhī se ḳhush hue
mazlūm zālimoñ kī tabāhī se ḳhush hue
sad-manzila vo qasr-e-anā Dher ho gayā
ahbāb pul-sirāt ke raahī se ḳhush hue
zinda diloñ pe rashk to kartī hai maut bhī
ham sarfarosh ahd-e-ilāhī se ḳhush hue
farzīñ ke sāmne hai piyāda Datā huā
ahl-e-bisāt aise sipāhī se ḳhush hue
vo tālibān-e-sar ye musharraf-ba-māl-o-zar
zehnī ġhulām zill-e-ilāhī se ḳhush hue
kyā ḳhaak Tik sakeñge ḳharīde hue gavāh
sarkār aap kaisī gavāhī se ḳhush hue
aate nahīñ haiñ ḳhair ujāle meñ ba.az log
shab-zinda-dār shab kī siyāhī se ḳhush hue
Top Urdushayar.com