Rauf Khair

zaban pe harf to inkar mein nahin aata

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
zabāñ pe harf to inkār meñ nahīñ aatā
ye marhala hī kabhī pyaar meñ nahīñ aatā
khulegā un pe jo bainassutūr paḌhte haiñ
vo harf harf jo aḳhbār meñ nahīñ aatā
samajhne vaale yaqīnan samajh hī lete haiñ
hamārā dard jo iz.hār meñ nahīñ aatā
ye ḳhāndān hamārā bikhar gayā jab se
maza hameñ kisī tyauhār meñ nahīñ aatā
hamāre haq meñ to vo chāñd aur sūraj hai
bahut dinoñ se jo dīdār meñ nahīñ aatā
kamāl ye hai ki ham ḳhvāb dekhte hī nahīñ
ki ḳhvāb dīda-e-bedār meñ nahīñ aatā
hamārā sher samajhne kī kuchh to koshish kar
ye kyā navishta-e-dīvār meñ nahīñ aatā
qalam kī kaaT to talvār se bhī baḌh kar hai
magar shumār ye hathiyār meñ nahīñ aatā
vo apnā zauq baḌhā.eñ agar maza un ko
ra.uuf 'ḳhair' ke ash.ār meñ nahīñ aatā
Top Urdushayar.com