ab is se pahle ki tan man lahū lahū ho jaa.e
lahū se qabl-e-shahādat chalo vazū ho jaa.e
qarīb-e-dīda-o-dil is qadar jo tū ho jaa.e
to kyā ajab tirī tārīf meñ ġhulū ho jaa.e
bhale hī hotī hai duniyā tamām hū ho jaa.e
ḳhudā-na-ḳhvāsta mere ḳhilāf tū ho jaa.e
maiñ apnā phone kabhī band hī nahīñ rakhtā
na jaane kab use taufīq-e-guftugū ho jaa.e
tumhārī chashm-e-karam hī se hai bharam dil kā
vo din na aa.e ki ye jaam be-subū ho jaa.e
mile mile na mile fursat o farāġhat phir
chalo yahīñ kahīñ kuchh der hā-o-hū ho jaa.e
dimāġh us kā sunā hai ki āsmān pe hai
mirī zamīn pe chal kar lahū lahū ho jaa.e
ra.uuf 'ḳhair' kisī par kabhī nahīñ khulnā
jo aaj yaar hai mumkin hai kal udū ho jaa.e