Rauf Khair

dharti se dur hain na qarib aasman se hum

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
dhartī se duur haiñ na qarīb āsmāñ se ham
kuufe kā haal dekh rahe haiñ jahāñ se ham
hindostān ham se hai ye bhī durust hai
ye bhī ġhalat nahīñ ki haiñ hindostāñ se ham
rakkhā hai be-niyāz usī be-niyāz ne
vābasta hī nahīñ haiñ kisī āstāñ se ham
rakhtā nahīñ hai koī shahādat kā hausla
us ke ḳhilāf laa.eñ gavāhī kahāñ se ham
mahfil meñ us ne haath pakaḌ kar biThā liyā
uThne lage the ek zarā darmiyāñ se ham
had jis jagah ho ḳhatm harīfān-e-'ḳhair' kī
vallāh shurū hote haiñ aksar vahāñ se ham
Top Urdushayar.com